My Selected Urdu Ghazals
ZINDAGI TERAY DAM SAY HAY

Zindagi main aaye sanam yeh her khushi teray dam say hai
Ji raha hoon iss liye keh zindagi teray damm say hay

Log kehtay hain wafaaon ki jisay zinda misal
Iss zamany main woh rasm-e-dosti tery dam say hai

Teray Husn-e-jawedan ki kiya karoon taa'reef abb
Chand sa chehra tera yeh chandani teray dam say hay

Teri aankhon say hi pee ker raat din madhosh hoon
Kiuon talab ho maikaday ki mai kashi teray dam say hay

Aik mudat say andhera tha meray mahaol main
Meray aangan main darakhshan roshani teray dam say hay

Teray hansanay say jahan main aayi hay fasal-e-bahar
Maosam-e-gull main mehakti taazagi teray dam say hay

Choo liya ho aasman ko jaisay teray piyar main
Ishq mai aaisi bulandi waa'qaai teray dam say hay

Her taraf bikhray hooay Almas hain jalway teray
Inn nazaron main ghazab ki dilkashi teray dam say hay



___________
"TUMHARI ANKHAIN, HAMARI ANKHAIN"

Mili jo mehfil main aik din woh tumhari ankhain hamari ankhain
Woh sat pardon say jhankati thi woh neem kash si shakari ankhain

Giraye chilman woh uoon thay baithay keh jaisay koi khaber nahein hay
Talash jinki hamain thi har dam woh ker rahi thi makari ankhain

Yeh kaisi deewangi thi jab jab uthai us nay jhuki nigahain
woh dhoondh laiti thi phir bhi mujh ko sharam ki mari kanwari ankhain

Misal milti nahein jahan main talash ham nay bohat si ki hay
Woh bat hi thi kuch aour us main kuch iss tarah say sanwari ankhain

Ajab si halat hooi hay jab say mili hain un say meri nigahain
Bhulaein kaisay hamaray dil main jo aa basi hain woh piyari ankhain

Tumhain kahan dhoondhtay rahay hain jo apnay charkh-e-kohan kay neechay
Na janay kin mushkalon say guzray kis imtehan say guzari ankhain

Woh poochtay thay kahan say aaye yeh shab guzari hay kis shagal main
yeh kis ki rah par bichi rahi hain yeh neend say kiuon hain bhari ankhain

Simat gaya tha zamanay bhar ka jo piyar pehli nazar main us kay
Main us pay chahay to ker doon qurban zamanay bhar ki woh sari ankhain

Tumharay wahdon pay ham jo Almas din ko jagay na raat soye
Jo neend aa jaye gi to phir bhi khuli rahain gi bechari ankhain


___________
MUJH KO

Phir kisi yad nay shab bhar hay jagaya mujh ko
Kiya saza di hay mohabat nay khudaya mujh ko

Din ko aaram hay na rat ko hay chain kabhi
Janay kis khaak say qudrat nay banaya mujh ko

Dukh to yeh hay keh zamanay main milay ghair sabhi
Jo mila hay woh mila ban kay paraya mujh ko

Jab koi bhi na raha kandha meray ronay ko
Ghar ki deewaron nay seenay say lagaya mujh ko

Uoon to umeed-e-wafa tum say nahein hay koi
Phir charaghon ki tarah kis nay jalaya mujh ko

Bewafa zindagi nay jab chorh diya hay tanha
Maot nay piyar say pehloo main bithaya mujh ko

Woh diya hoon jo mohabat nay jalaya tha kabhi
Gham ki andhi nay sar-e-sham bujhaya mujh ko

kaisay bhoolon ga wohi wasl kay lamhay Almas
Yad aata raha zulfon ka hi saya mujh ko

***********************************************************

BAHAL RAHAY HAIN



Hamray honton pay aj tak woh wafa kay naghmay machal rahay hain
Tumhari yadon kay talkh lamhay hamari palkon pay jal rahay hain

Yeh rah-e-ulfat kahan hay aasan qadam qadam pay rukawatain hain
Lagi jo thokar tumhain to ham bhi tumhari khatir sanbhal rahay hain

Raqabton say bharay jahan main her ik nay badla hooa hay chehra
Milay bohat log ham ko aisay jo apna ban ker hi chal rahay hain

Bicharh kay tum say hay ham nay jana yeh zindagi bhi hay na mukamal
Kayi adhooray hamaray arman abhi bhi seenay main pal rahay hain

Guzar rahi hay yeh zindagi uoon keh ham ko apni khaber kahan hay
Zamany nay jistarah say dhala ham uskay sanchon main dhal rahay hain

Hooay thay be abroo kuch aisay nikal kay ham us teri gali say
Keh jaisay bagh-e-adan say adam jhuka kay sar ko nikal rahay hain

Kuch un kay milnay ki aarzoo main wasal ki Almas chand umeedain
Na janay kiss kiss tarah kay aksar khilonay pa ker bahal rahay hain

+++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++


Drop me a Line or sign my guest book on other pages
Steve Almas

In Saf'aat ki Ta'meer Jari hay,
Apki Tashreef Awari ka shukriya



____________________________________________________________


powered by lycos
SEARCH: Tripod The Web